Maana mushkil hai,
Zindagi ka ye safar..
Per aapke DIL tak pahuchna hi,
Zindagi hai meri..!!
Tuesday, 23 May 2017
Tuesday, 2 May 2017
Wedding Diary
A Walk Through of Life
Day
1 Date:
18th
April, 2017
The Day I reached
to so called the wedding house.
After
extensive travelling from Mumbai to Rajasthan, finally the day of relaxation to
be observed.
Aaj nikla
tha vho safar mai,
Kal
pahuchuga vho safar kar,
Is lambe safar mai hum pak gaye u he akale,
Socha aapka koi tho jawab aayega,
Per na aaya apka koi jawab,
Doston ne kar deya safar ko anandit
Baat kar ke, meri kichai kar ke,
Leye unhone maze,
Fir he apne aaram ka din,
Reh jaunga ghar he ghar mai..!!
Day 2 Date:
19th
April, 2017
Pahuch gaye apne manzil ki rah mai,
Lene aaye apne us manzil ki rah mai,
Dekhte he aaj ka kya kaam hai,
Unhe baith kar hum pak gaye hai..!!
Day 3 Date:
20th
April, 2017
Ganpati Sthapna
Shuru hua he shadhi ka ye safar,
Virajman hue he aaj Ganpati apne Vanyag ke Ore mai,
Bhen & Batiyo ko vandana “KUL” hai,
GOL phenni he muje bheruji ke dewre ki,
Virajman hue he aaj Bheruji Vanyag ke Ore mai.
Bandhi he aaj Rakhi Shadi ki,
Bandhi he aaj Rakhi Bheru ki,
Hai aaj ka Din, Phele Vanola ka,
Hai dhum-dhamaka
ka ye mauka,
Band Baje aur Ghode ke sath,
Pahuchaya he Vanola,
Hai maja masti ka ye mauka,
Kare maja aur masti apne band baje ke sath,
Godi tho nahi chadne milega aaj,
Kyu ki bheruji ki GOL phenni abhi bhi baki hai.
Chal kar hum gaye us safar mai,
Nach kar gaye us safar mai,
Hasi khusi ke sath aaya tha maza us safar mai,
Sang tha apna pura parivar.
Day 4
Date:
21st
April, 2017
Hai aaj mere bhai ka mauka,
Pahuchana he uska Vanola
Hai phirse maja mastika ye mauka,
Kare maja aur masti apne band baje ke sath,
Godi chade vho aaj,
Kyu ki bheruji ki GOL nahi pahenni he use.
Godi chadkar gaye vho us safar mai,
Nachkar gaye us safar mai,
Hasi Khushi ke sath aaya tha maza us safar mai,
Sang tha apna pura parivar.
Day 5 Date:
22nd
April, 2017
Firse tha
aaj vanola,
Gopu kaka
ke ghar aaj jana tha,
Tha dono
ka mauka, sah parivar,
Kare maza
aaj phir jum kar,
Na he aaj
pahuchan vanola,
Na he koi
mauka nach-dham
ka,
Huaa pura
program khatam aaj,
Ab bari he
kal ke baad..!!
Day 6
Date:
23rd
April, 2017
Aaya aaj bhi he vanola,
Kar maja apne bhai ke sath,
Gaye hum rewaj pura karne,
Lauth aaye hum rewaj pura karke..!!
Day 7 Date:
24th
April, 2017
Bada
Vinayak
Hai aaj staphna Bada Vinayak ka,
Rewaj ke
sath ki staphna Bada Vinayak ki,
Hai aaj se 5 din Baad shadi ki tarikh judi.
Lagi thi
aaj Pheli Mhendi Shadi ki,
Dastur keya jiska Bhuaji ne mere,
Gaye hum Poojne Rodi,
Thok aaye Rewaj ke sath Khila Rodi mai,
Nikalna he vho khila rodi se, shadi karne jane se..!!
Day 8 Date:
25th
April, 2017
He aaj fir
Vanola ka din,
De rahe he
apne Moti Kaka ji,
Pahucha
rahe he vho Vanola aaj phir,
Dono Vindo
ko sath Godi bitha kar,
Aaj hum
baith sakte he Godi per,
Pheneli he
maine Bheruji ki GOL,
Na he rok,
Na tok he koi.
Baithe hum
dono Godi par,
Godi nachti,
Band baaje bhi baje,
Tha jo DJ
ka maaja baaja,
Le gaye
Charbhuja Mandire se Mata ke Mandir,
Le aaye
Vapas Charbhuja Mandir ko,
Keya aisa
isleay kyu ki vho he humare padosi,
Nahi tho
Lejate Unke Ghar se Apne Ghar.
Day 9 Date:
26th
April, 2017
Bindoli
Din he aajka subse ahem,
Nikalni he aaj Bindoli meri,
Laye he Band Baje “Pamna Ka Dhamaka”,
He aaj lighting Bindoli ke leay,
Aayi he Godi Devtadi se lekar.
Shuri hue he Bindoli Bade Charbuja Mandi ke yaha se,
Nachi he Godi apne pure hosho aaram se,
Aageke dono tang keye he usne upar,
De he thumkar agle dono tango per,
Uthi he Godi apne Pichle dono tango per,
Keya tha khel nacha nacha kar Godi k sang,
Huaa tha ek aisa khel Palang Khat (Charpai) per,
Nachi he Godi Palang Khat per,
Nach he sarvodar apne Godi per,
Khat ka tho pata nahi kya haal tha,
Mera tho bas mooje ka haal tha.
Lage dhog Veer Tejaji Maharaj ko,
Chal pade fir Laxminarayan ki aur,
Baad me lage dhog Hatthi Mata ko,
Chal pade Charbhuja Mandir ki aur,
Pahuche Dhundla Mata ke Mandir; Lage Dhog,
Nikle vapas apne ghar ki aur,
Aaye hum apne ghar ki aur, Bade Charbuja Mandir me
lagke dhog,
Akhir mai lage dhog Aamaj Mata ke Mandir,
Aaye he Ghar lagke dhog,
Kup nache Bahen Betiya, Bhai Bhen, Bau Phufa, Uncle
Aunti, Masi Masaji, Mama Mami
Sabhi ne lagaye thumak thumak ke thumke,
Huaa Khatam aaj ka din hai,
Baji he aaj rath ki dedh (1.30am) hai.
Day 10 Date:
27th
April, 2017
Male
V Kalash
Aaj he Mauka
Mere bhai ki Bindoli ka,
Sabhi
program vaisa he hua hai,
Use se phele he mere Male V Kalash (KUL)ka
din,
Rewaj ke sath
lana tha DO(2)Bada KUL,
Pariwar he bada kya kare, laye hum sath 5 KUL,
Gaye the hum Dhol Nagade ke sath.
Puji he Maa ne KUL ka sthan,
Nikle bahar vapas lauthne ghar,
Samne dikh gaye jinhe kuch din baad lana he ghar,
Dekh kar hume Muskuraye the vho,
The apne bheno ke sath jo,
Lana tha unko bhi Bada KUL,
Nikal gaye hum apne raste chal.
Pujke humne vho subhi KUL, pahucha unko Vanyag ke Ore
me,
Lauth aaye hum apne ghar karne KUL ki staphne,
Pooja path karke staphna ki he KUL ki,
Ye sub hone ke baad gaye hum Bhai ki Bindoli me,
Khub Nache hum unke Bindoli me,
Nahi naach paya tha mai aapne Bindoli me,
Per nacha mai apne Bhai ki Bindoli me.
Day 11 Date:
28th
April, 2017
Var
Nikasi
Keya he TEL
ka dastur,
5 behno
bhua ne ki he rasam,
Fir
nehlakar de he dress MAMA ne,
Uthaya
MAMA ne muje apne hatho se,
Is rasam
ke baad, gaye aaj hum rodi per,
Niklana he
vho khila rodi poojan per,
Lauth aaye
hum puraa dastur kar ke,
Bithaya he
hume Vind Chok per,
Kara he dastur
Vind Chok ka,
Lagake
dhog mandiro mai, bandha he Dovada pairo mai..!!
Day 12 Date:
29th
April, 2017
Shubh
Lagna
(Early
Night after 12.00
AM)
Pahuche
hum Kailash Choraya, fir nikli he Barat band baje ke sath.
Aaye he
band baja,
Saji he
Godi taja,
Baja he
band baja,
Chade he
Godi Dulheraja,
Nache he
Godi apne charo pairo per,
Uthakar
apne do pair thumak thumak kar,
Nachi he
Godi apne do pairo par,
Pahuche
hum ishe josh hosh ke sath gori ke darwaje,
Baja
he band, Aye He Dulheraja Gori Khol Darwaja,
Hua
subka aadar satkar,
Legaye
Dwar ke paar,
Khilaya
Rewaj ka Methi Bhath,
Bethakar
Godi per Vandaya he Toran,
Fir
Utarkar Vandana he Kalash,
Uske
phele Churana he Kalash,
Padi
vho galiya rewaj ke anusaar,
Vandaya
jo kalash, vandana tha jise,
Hue
ab he aarti Dulhe ki,
Aayi
thi Dulhan Varmal le kar,
Phenaye
he Varmala Dulhan ne Dulhe ko,
Fir
legaye dono ko kamre mai,
Maraj
ne milaye dono ke hath,
Rachai
he mehndi 1 Rupayee ke sath,
Bandha
he gathan done ke hathon ka,
Bandi
he jod, palu se dulhan ki,
De
uski door, hatho me dulhe ko,
Fir
legaye dono ko agni kund ki aur.
Virajman
karaya Tino (3) Dulhe Dulhan ko,
Hua
he maharaj ka mantra jab,
Dono
ka agni ko sakshi rakh kar khilaye hai Phere Bandhan ke,
Karaye
the TEEN (3) Phere, Dulhan ko aage rakh kar,
Gumaya
Dulhan aur Dulhe ko,
Gina
jata he unko CHE (6) Phere,
Samja
kar maharaj ne un phero ka matlab,
Karaya
tha ye ek akhri Phera..
Jisme
dulhe ko rahena tha aage dulhan ke,
Is
phere ke sath hoti he dulhan parayai,
Leye
gaye vho phere bade josh ke sath,
Khaye
vho phere low speed ke sath,
Phere
ki rasam ke baad huaa baki ka mantra jab,
Hitcha
he hathola Dulhan ka subhi pariwar walone,
Uthaya
he sabhi dulhe dulhan ko,
De
thi patashiya sabhi ke hatho mai,
Kaha
tha fekna unhe apne sir ke upar se,
Puri
huee vho akhri rasam bhi,
Abhi
huee he Shadi subhi Jodo ki,
Huaa
he waqt Subhe ke 7 Baje,
Legaye
hum Jodo ko Dhog lagane,
Hue
chori Jute Dulhe ke sare,
Dena
Pada Nekh Un saliyo ko thoda,
Mile
vho Jute Dulhe ke sare,
Fir
laute hum Dulhan ke Darwaje,
Gaye
hum sub fir vishram karne,
Na
ja sakte he Dulhe apne ghar,
Rewaj
he aisa hai, kya kare dulha,
Na
ho jab tak Bedai, rahen he dulhe ko apne ghar se dur,
Hua
he bhojan subka vahi Dulhan key yaha,
Abhi
he Dupher ka samay,
Bethaya
he dulhe dulhan ko palang dastur ke leay,
Gumi
he Dulhan ke Mata Peta, Mama Mani, Kaka Kaki.jo bhi baithe the unke Vivha karane mai,
Hue
puri vho rasam bhi abhi waqt tha sham ke reception ka,
Gaye
firse vishram karne hum sabhi dulhe dulhan,
Saj
dhaj kar aaye subhi dulhe dulhan,
Virajma
hue sabhi stage per,
Hua
pura karyakram,
Ab
bari thi Bedai ki,
Sabhi
ke mukh the murjaye,
Jana
tha Dulhan ko apne sasural,
Tha
vho unka naya ghar,
Baithe
sub jode gadi mai,
Nikle
barati doli lekar,
Pahuche
hum dono apne ghar,
Huaa
swagat dono ka darwaje per,
Huaa
Pairoka Dastur us Lal Kumkum se,
Bani
he dono ki Jodi us rab ki maherbani se,
Huaa
Pravesh us rewaj ke baad,
Huee
aarti dono ki ek sath aaj,
Jana
he dono vanyag bawji ke ore mai,
Use
phele roka he bheno ne rasta humara,
Le
he rishwat pravesh karni ki,
Raste
mai pravesh karaya Roti ke thali ke upar se,
Karna
tha Dulhe ko Katari se hole,
Uthna
tha Dulhan ko vho thali bina koi shoor,
Fir
pahuchaya hume vanyag ke ore mai,
Hua
dulhan aur dulhe ke bich khilane chawal ka dose,
Puri
huee rasam Dulhan ko ghar lane ki, ab bari he age ke rewaj ki.
Day 13 Date:
30th
April, 2017
Hai
aaj Reception ka Din Mere bhai ka,
Jiski
bhi shadi kal ke din he thi,
Gayi
thi baarat dusre jaga,
Huee
sari rasme ishi tarha,
Jana
tha Muje apne sad uke reception mai bhi,
Ke
thi gadi aur nikle hum uske reception mai,
Lautna
tha hum dono ko kul sath baje,
Laute
hum dono karib dus baje.
Tha
sirf parivar humara vaha,
Khichaya
photo dono ne parivaro ke sath,
Laute
hum sub gar ki aur,
He
ab agle din ka mauka.
Day 14 Date:
1st
May,
2017
Hai
aaj ka din Dowada Kholne ka,
Legaye
dono Bhaiyon ko, unki dulhano ke sath,
Gaye
sub Setla maat ke mandir,
Kholaya
he dowada dulhe dulhan ko,
Dulhan
ko kholna he dowada apne dono hatho se,
Dulhe
ko vapar na sirf ek hath,
He
nayansafi is rasam mai,
Kya
kare he aishi he rasam us jaga per,
Fir
khelaya he dono ko dhundne Ring,
Hua
kapashya dhundne ka khel,
Pakdaya
he anguta Dulhe ka dulhan ko,
Mila
he Mauka Dulhan ko Dulhe se ek icha mange ka,
Manga
kuch nahi Dulhan ne mere se,
Duba
he mauka uska ek icha mange ka.
Fir
legaye dulhe dulhan ko lagane dhog,
Sabhi
mandiro mai lage dhog,
Huee
puri rasam aaj ke din abhi,
Baki
he dulhan ko vapas apne ghar lejane ki,
Aaya
he saale ka phone, lejayenge vho apni bhen ko sham ko,
Khilaya
he unko dastur ka mithi bath,
Legaye
vho dulhan ko apne sath,
Jana
tha muje bhi unke sath,
Karna
tha Mandva oladna unke vaha,
Puri
ki vho rewaj huee sabhi free,
Ab
Dulha Dulhan aaj ja sake he apne dono ke ghar kabhi bhi.
-MK
Labels:
Wedding
Location:
Dhoinda, Rajasthan, India
Subscribe to:
Posts (Atom)